aur na khaTka kar baba
aur na khaTkā kar baabā
apne aap se Dar baabā
chhoḌ chalā jab ghar baabā
dekh na ab muḌ kar baabā
sab kuchh tere andar hai
kuchh bhī nahīñ bāhar baabā
ghuum na yuuñ kashkol liye
sabr se jholī bhar baabā
ye jiinā kyā jiinā hai
jiinā hai to mar baabā
Thaan liyā so Thaan liyā
ab kyā agar magar baabā
baat 'rishī' kī maan bhī le
shaam huī chal ghar baabā
aur na khaTka kar baba
apne aap se Dar baba
chhoD chala jab ghar baba
dekh na ab muD kar baba
sab kuchh tere andar hai
kuchh bhi nahin bahar baba
ghum na yun kashkol liye
sabr se jholi bhar baba
ye jina kya jina hai
jina hai to mar baba
Than liya so Than liya
ab kya agar magar baba
baat 'rishi' ki man bhi le
sham hui chal ghar baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.