aur phir chehra-e-KHashak badal jaega
aur phir chehra-e-ḳhāshāk badal jā.egā
ek din mausam-e-saffāk badal jā.egā
jab ye hañgām-e-ḳhush-idrāk badal jā.egā
aap kā pairahan-e-ḳhāk badal jā.egā
koī be-dāġh qabā-posh hai qātil apnā
qatl kar legā to poshāk badal jā.egā
dām-e-ummīd meñ bāñdhegā tamannā-e-ḳhām
vaqt aane pe vo chālāk badal jā.egā
aur phir chehra-e-KHashak badal jaega
ek din mausam-e-saffak badal jaega
jab ye hangam-e-KHush-idrak badal jaega
aap ka pairahan-e-KHak badal jaega
koi be-dagh qaba-posh hai qatil apna
qatl kar lega to poshak badal jaega
dam-e-ummid mein bandhega tamanna-e-KHam
waqt aane pe wo chaalak badal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.