aur phir humne bhi apne dil ka sauda kar liya
aur phir ham ne bhī apne dil kā saudā kar liyā
baa'd tere ham ne apnā dil khilaunā kar liyā
uf ye tere haath piile uf siñdūrī maañg ye
ik zarā nārāzgī meñ tū ne ye kyā kar liyā
thā nahīñ sūraj magar itnā añdherā bhī na thā
ham ne ḳhud battī bujhā.ī ḳhud añdherā kar liyā
koī chāra hī nahīñ thā paas mere is liye
terī jaisī ‘ādateñ kiiñ ḳhud ko tujh sā kar liyā
ab kahāñ mujh sā milegā tum ko duniyā meñ koī
mujh se dhokā kar ke tum ne ḳhud se dhokā kar liyā
aur phir hum ne bhi apne dil ka sauda kar liya
ba'd tere hum ne apna dil khilauna kar liya
uf ye tere hath pile uf sinduri mang ye
ek zara naraazgi mein tu ne ye kya kar liya
tha nahin suraj magar itna andhera bhi na tha
hum ne KHud batti bujhai KHud andhera kar liya
koi chaara hi nahin tha pas mere is liye
teri jaisi ‘adaten kin KHud ko tujh sa kar liya
ab kahan mujh sa milega tum ko duniya mein koi
mujh se dhoka kar ke tum ne KHud se dhoka kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.