aur sab kuchh bahaal rakkha hai
aur sab kuchh bahāl rakkhā hai
ek bas ishq Taal rakkhā hai
bas tirā huuñ ye soch kar barsoñ
maiñ ne apnā ḳhayāl rakkhā hai
vo badan jāduī piTārī hai
har kahīñ ik kamāl rakkhā hai
zindagī maut tai mirī hogī
us ne sikka uchhāl rakkhā hai
hāl-e-dil kyā use batā.ūñ maiñ
us ne sab dekh-bhāl rakkhā hai
hijr phailā hai puure kamre meñ
pars meñ par visāl rakkhā hai
is salīqe se 'āshnā' TuuTo
jaise ḳhud ko sambhāl rakkhā hai
aur sab kuchh bahaal rakkha hai
ek bas ishq Tal rakkha hai
bas tera hun ye soch kar barson
main ne apna KHayal rakkha hai
wo badan jadui piTari hai
har kahin ek kamal rakkha hai
zindagi maut tai meri hogi
us ne sikka uchhaal rakkha hai
haal-e-dil kya use bataun main
us ne sab dekh-bhaal rakkha hai
hijr phaila hai pure kamre mein
pars mein par visal rakkha hai
is saliqe se 'ashna' TuTo
jaise KHud ko sambhaal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.