aur sunao kaise ho tum
aur sunāo kaise ho tum
ab tak pahle jaise ho tum
achchhā ab ye to batlāo
kaise apne jaise ho tum
yaar suno ghabrāte kyoñ ho
kyā kuchh aise vaise ho tum
kyā ab apne saath nahīñ ho
to phir jaise taise ho tum
aish-parastī tum se tauba
mazdūrī ke paise ho tum
aur sunao kaise ho tum
ab tak pahle jaise ho tum
achchha ab ye to batlao
kaise apne jaise ho tum
yar suno ghabraate kyon ho
kya kuchh aise waise ho tum
kya ab apne sath nahin ho
to phir jaise taise ho tum
aish-parasti tum se tauba
mazduri ke paise ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.