aur to kuchh nahin kiya hoga
aur to kuchh nahīñ kiyā hogā
maiñ ne phir maut ko jiyā hogā
us ke sāgar se lab lagā.e the
us ne ik ghūñT to piyā hogā
aaj bulbul ne us chamelī se
jaane kyā kaan meñ kahā hogā
ek baaqī charāġh thā achchhā
us ko tum ne bujhā diyā hogā
kuchh dinoñ qabl tak nayā thā maiñ
ab jo hai āj-kal nayā hogā
aur to kuchh nahin kiya hoga
main ne phir maut ko jiya hoga
us ke sagar se lab lagae the
us ne ek ghunT to piya hoga
aaj bulbul ne us chameli se
jaane kya kan mein kaha hoga
ek baqi charagh tha achchha
us ko tum ne bujha diya hoga
kuchh dinon qabl tak naya tha main
ab jo hai aaj-kal naya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.