aur waiz ke sath mil le shaiKH
aur vaa.iz ke saath mil le shaiḳh
khol aapas ke biich kille shaiḳh
tiir sā qad kamān kar apnā
khīñch fāqoñ ke biich chille shaiḳh
chhoḌ tasbīh hazār dānoñ kī
haath meñ apne ek dil le shaiḳh
bhūñk mat ġhair par na kar hamla
mard hai nafas par to pil le shaiḳh
ḳhāl-e-ḳhūbāñ siiñ tujh kuuñ kyā nisbat
bas haiñ bakre ke tujh ko tille shaiḳh
us se sañgīñ-dilāñ kā shauq na kar
mat tū siine pe apne sil le shaiḳh
chhoḌ de zohd-e-ḳhushk ye pyāla
ḳhush ho kar 'ābrū' se mil le shaiḳh
aur waiz ke sath mil le shaiKH
khol aapas ke bich kille shaiKH
tir sa qad kaman kar apna
khinch faqon ke bich chille shaiKH
chhoD tasbih hazar danon ki
hath mein apne ek dil le shaiKH
bhunk mat ghair par na kar hamla
mard hai nafas par to pil le shaiKH
KHal-e-KHuban sin tujh kun kya nisbat
bas hain bakre ke tujh ko tille shaiKH
us se sangin-dilan ka shauq na kar
mat tu sine pe apne sil le shaiKH
chhoD de zohd-e-KHushk ye pyala
KHush ho kar 'abru' se mil le shaiKH
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 139)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.