Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh ka jharna hamesha hansne wali aurten

Bashir Badr

subh ka jharna hamesha hansne wali aurten

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    Interesting Fact

    Kitab-Lucknow

    sub.h jharnā hamesha hañsne vaalī aurteñ

    jhuTpuTe naddiyāñ ḳhāmosh gahrī aurteñ

    mo.atadil kar detī haiñ ye sard mausam mizāj

    barf ke Tīloñ pe chaḌhtī dhuup jaisī aurteñ

    sabz nāranjī sunahrī khaTTī mīThī laḌkiyāñ

    bhārī jismoñ vaalī Tapke aam jaisī aurteñ

    saḌkoñ bāzāroñ makānoñ daftaroñ meñ raat din

    laal niilī sabz niilī jaltī bujhtī aurteñ

    shahr meñ ik baaġh hai aur baaġh meñ tālāb hai

    tairtī haiñ is meñ sātoñ rañg vaalī aurteñ

    saikḌoñ aisī dukāneñ haiñ jahāñ mil jā.eñgī

    dhaat patthar shīshe rabaḌ aurteñ

    munjamid haiñ barf meñ kuchh aag ke paikar abhī

    maqbaroñ chādareñ haiñ phuul jaisī aurteñ

    un ke andar pak rahā hai vaqt ātish-fishāñ

    jin pahāḌoñ ko Dhake haiñ barf jaisī aurteñ

    āñsuoñ tarah taare gir rahe haiñ arsh se

    ro rahī haiñ āsmānoñ akelī aurteñ

    ġhaur se sūraj nikalte vaqt dekho āsmāñ

    chūmtī haiñ kis māthā ujlī lambī aurteñ

    sabz sone ke pahāḌoñ par qatār-andar-qatār

    sar se sar joḌe khaḌī haiñ lambī sīdhī aurteñ

    vāqa.ī donoñ bahut mazlūm haiñ naqqād aur

    maañ kahe jaane hasrat meñ sulagtī aurteñ

    subh ka jharna hamesha hansne wali aurten

    jhuTpuTe ki naddiyan KHamosh gahri aurten

    moatadil kar deti hain ye sard mausam ka mizaj

    barf ke Tilon pe chaDhti dhup jaisi aurten

    sabz naranji sunahri khaTTi miThi laDkiyan

    bhaari jismon wali Tapke aam jaisi aurten

    saDkon bazaron makanon daftaron mein raat din

    lal nili sabz nili jalti bujhti aurten

    shahr mein ek bagh hai aur bagh mein talab hai

    tairti hain is mein saton rang wali aurten

    saikDon aisi dukanen hain jahan mil jaengi

    dhat ki patthar ki shishe ki rabaD ki aurten

    munjamid hain barf mein kuchh aag ke paikar abhi

    maqbaron ki chadaren hain phul jaisi aurten

    un ke andar pak raha hai waqt ka aatish-fishan

    jin pahaDon ko Dhake hain barf jaisi aurten

    aansuon ki tarah tare gir rahe hain arsh se

    ro rahi hain aasmanon ki akeli aurten

    ghaur se suraj nikalte waqt dekho aasman

    chumti hain kis ka matha ujli lambi aurten

    sabz sone ke pahaDon par qatar-andar-qatar

    sar se sar joDe khaDi hain lambi sidhi aurten

    waqai donon bahut mazlum hain naqqad aur

    man kahe jaane ki hasrat mein sulagti aurten

    Source :
    • Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 68)
    • Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
    • Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
    • Edition : 1972

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now