auron ke waste jo ajal ka payam hai
auroñ ke vāste jo ajal kā payām hai
mere liye vo āb-e-baqā-e-davām hai
pūchhī jo qatl-e-'ām kī taujīh to kahā
guzrā abhī yahāñ se qayāmat-ḳhirām hai
tū dost ho ḳhudā kā ye mushkil nahīñ tujhe
nau’-e-bashar tirā bhī 'ajā.ib maqām hai
pūchhā kisī ne sham' se detā hai jaan kyoñ
us ne diyā javāb ye soz-e-tamām hai
āġhāz kā patā hai na manzil kī kuchh ḳhabar
kuchh der ko sarā-e-kuhan meñ qiyām hai
'āshiq huā hai us pe ye nādān dil mirā
jis kā sitam jahān meñ mash.hūr-e-‘ām hai
mohlat zarā mujhe abhī kuchh aur chāhiye
ai marg merā kaam abhī nā-tamām hai
auron ke waste jo ajal ka payam hai
mere liye wo aab-e-baqa-e-dawam hai
puchhi jo qatl-e-'am ki taujih to kaha
guzra abhi yahan se qayamat-KHiram hai
tu dost ho KHuda ka ye mushkil nahin tujhe
nau’-e-bashar tera bhi 'ajaib maqam hai
puchha kisi ne sham' se deta hai jaan kyon
us ne diya jawab ye soz-e-tamam hai
aaghaz ka pata hai na manzil ki kuchh KHabar
kuchh der ko sara-e-kuhan mein qiyam hai
'ashiq hua hai us pe ye nadan dil mera
jis ka sitam jahan mein mashhur-e-‘am hai
mohlat zara mujhe abhi kuchh aur chahiye
ai marg mera kaam abhi na-tamam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.