auron ki tarah se ab na Talo
auroñ kī tarah se ab na Taalo
ham ko apne gale lagā lo
gaalī na diyā karo kisī ko
bas bas apnī zabāñ sambhālo
ġhurfe meñ se jhāñk paas apne
ġhairoñ ko hañsī-ḳhushī bulā lo
aur ham se hazār haif pyāre
muñh ko sharmā ke yuuñ chhupā lo
hai qāfila umr kā ravāna
raḳht apnā musāfiro sambhālo
but-ḳhāne kī raah ko 'sulaimān'
chhoḌo tum aur rah-e-ḳhudā lo
auron ki tarah se ab na Talo
hum ko apne gale laga lo
gali na diya karo kisi ko
bas bas apni zaban sambhaalo
ghurfe mein se jhank pas apne
ghairon ko hansi-KHushi bula lo
aur hum se hazar haif pyare
munh ko sharma ke yun chhupa lo
hai qafila umr ka rawana
raKHt apna musafiro sambhaalo
but-KHane ki rah ko 'sulaiman'
chhoDo tum aur rah-e-KHuda lo
- Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 89)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.