auron pe ittifaq se sabqat mili mujhe
auroñ pe ittifāq se sabqat milī mujhe
bhūle se sar-kashī kī rivāyat milī mujhe
ġhairoñ kī dostī se kise hamdamī milī
sab se bichhaḌ ke apnī rifāqat milī mujhe
shahroñ meñ bhī sarāb kī tahrīr paḌh sakā
nā-bīnā falsafī kī basārat milī mujhe
bas merā zikr aate hī mahfil ujaḌ ga.ī
shaitāñ ke ba.ad dūsrī shohrat milī mujhe
duniyā meñ roz hashr kā hañgām dekh kar
mahjūb sar barahna qayāmat milī mujhe
kuchh dil-ḳharāsh sher kahe aur chal basā
haañ zindagī meñ itnī hī mohlat milī mujhe
sochā thā apne ahd kā ik marsiya likhūñ
'bāqar' ġhazal hī kahne kī fursat milī mujhe
auron pe ittifaq se sabqat mili mujhe
bhule se sar-kashi ki riwayat mili mujhe
ghairon ki dosti se kise hamdami mili
sab se bichhaD ke apni rifaqat mili mujhe
shahron mein bhi sarab ki tahrir paDh saka
na-bina falsafi ki basarat mili mujhe
bas mera zikr aate hi mahfil ujaD gai
shaitan ke baad dusri shohrat mili mujhe
duniya mein roz hashr ka hangam dekh kar
mahjub sar barahna qayamat mili mujhe
kuchh dil-KHarash sher kahe aur chal basa
han zindagi mein itni hi mohlat mili mujhe
socha tha apne ahd ka ek marsiya likhun
'baqar' ghazal hi kahne ki fursat mili mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.