ausan par yun usne qabu kiya hua hai
ausān par yuuñ us ne qaabū kiyā huā hai
jaise ki mujh pe kaalā jaadū kiyā huā hai
bāteñ sajā rakhī haiñ dīvār par diye sī
yādoñ ko maiñ ne us kī jugnū kiyā huā hai
miTTī ke is badan meñ hai ruuh nartakī sī
sāñsoñ ko us ne merī ghuñghrū kiyā huā hai
hindī mahak rahī hai lobān jaisī merī
lahje ko maiñ ne apne urdu kiyā huā hai
kyā kyā mujhe kiyā hai is ishq ne 'musavvir'
jānāñ kiyā huā hai jaanū kiyā huā hai
ausan par yun us ne qabu kiya hua hai
jaise ki mujh pe kala jadu kiya hua hai
baaten saja rakhi hain diwar par diye si
yaadon ko main ne us ki jugnu kiya hua hai
miTTi ke is badan mein hai ruh nartaki si
sanson ko us ne meri ghunghru kiya hua hai
hindi mahak rahi hai loban jaisi meri
lahje ko main ne apne urdu kiya hua hai
kya kya mujhe kiya hai is ishq ne 'musawwir'
jaanan kiya hua hai jaanu kiya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.