awwal aaKHir miTTi hai
avval āḳhir miTTī hai
har ik paikar miTTī hai
sar meñ shab bhar miTTī thī
din bhar sar par miTTī hai
miTTī ke haiñ jazbe sab
dil kā daftar miTTī hai
merā siina khurpī se
dekh khurap kar miTTī hai
sab kuuze haiñ miTTī ke
har kūza-gar miTTī hai
ek piyāda miTTī kā
saarā lashkar miTTī hai
uupar tak bhī jā aa.e
kyā hai uupar miTTī hai
chandā taare sūraj sab
har ik manzar miTTī hai
uTh maḳhmal ke bistar se
terā bistar miTTī hai
maiñ nīche huuñ miTTī ke
mere uupar miTTī hai
awwal aaKHir miTTi hai
har ek paikar miTTi hai
sar mein shab bhar miTTi thi
din bhar sar par miTTi hai
miTTi ke hain jazbe sab
dil ka daftar miTTi hai
mera sina khurpi se
dekh khurap kar miTTi hai
sab kuze hain miTTi ke
har kuza-gar miTTi hai
ek piyaada miTTi ka
sara lashkar miTTi hai
upar tak bhi ja aae
kya hai upar miTTi hai
chanda tare suraj sab
har ek manzar miTTi hai
uTh maKHmal ke bistar se
tera bistar miTTi hai
main niche hun miTTi ke
mere upar miTTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.