awwal awwal ki jawani mein ubaal aaya tha
avval avval kī javānī meñ ubaal aayā thā
baad meñ jā ke kahīñ zabt-e-kamāl aayā thā
mere vijdān ne bar-vaqt batāyā thā mujhe
hijr kā ḳhvāb mujhe vaqt-e-visāl aayā thā
kū-ba-kū phail ga.ī us ke badan kī ḳhushbū
saaf lagtā hai vahī zohra-jamāl aayā thā
ḳhud ko paane ke liye ḳhud meñ utar kar apne
bahr-o-bar haath kī chhalnī meñ khañgāl aayā thā
vaqt ke jabr kī dahlīz pe baiThā jis dam
ġham kī tahrīk se ḳhushiyoñ pe zavāl aayā thā
ab to ahbāb bhī dam bhar ko ThiThuk jaate haiñ
jab maiñ aayā thā yahāñ kitnā nihāl aayā thā
'ābdī' kaun batā.egā mire baad use
Dūbte vaqt mujhe us kā ḳhayāl aayā thā
awwal awwal ki jawani mein ubaal aaya tha
baad mein ja ke kahin zabt-e-kamal aaya tha
mere wijdan ne bar-waqt bataya tha mujhe
hijr ka KHwab mujhe waqt-e-visal aaya tha
ku-ba-ku phail gai us ke badan ki KHushbu
saf lagta hai wahi zohra-jamal aaya tha
KHud ko pane ke liye KHud mein utar kar apne
bahr-o-bar hath ki chhalni mein khangal aaya tha
waqt ke jabr ki dahliz pe baiTha jis dam
gham ki tahrik se KHushiyon pe zawal aaya tha
ab to ahbab bhi dam bhar ko ThiThuk jate hain
jab main aaya tha yahan kitna nihaal aaya tha
'abdi' kaun bataega mere baad use
Dubte waqt mujhe us ka KHayal aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.