awwal to jalwa-gah mein dil ki bisat kya
awwal to jalwa-gah mein dil ki bisat kya
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
avval to jalva-gāh meñ dil kī bisāt kyā
dil hai junūñ-navāz to phir ehtiyāt kyā
bīmār-e-ġham ke sāmne zikr-e-nashāt kyā
zulmat se raushnī kā bhalā irtibāt kyā
be-ḳhauf ruḳh safīne kā moḌo bhañvar kī samt
marnā qubūl kar chuke ab ehtiyāt kyā
dil hai to ik ḳhalish bhī talab kar banām-e-dil
karb-e-nashāt maañg surūr-e-nashāt kyā
mere huzūr ye bhī navāzish hai aap kī
dil jalva-gāh-e-nāz ho dil kī bisāt kyā
apnā chuke haiñ ham to mazāq-e-ġham-e-firāq
ab ehtiyāt kyā kareñ ab ehtiyāt kyā
shāyad abhī ye ahl-e-ḳhirad ko pata nahīñ
dīvāngī-e-hosh meñ hai irtibāt kyā
awwal to jalwa-gah mein dil ki bisat kya
dil hai junun-nawaz to phir ehtiyat kya
bimar-e-gham ke samne zikr-e-nashat kya
zulmat se raushni ka bhala irtibaat kya
be-KHauf ruKH safine ka moDo bhanwar ki samt
marna qubul kar chuke ab ehtiyat kya
dil hai to ek KHalish bhi talab kar banam-e-dil
karb-e-nashat mang surur-e-nashat kya
mere huzur ye bhi nawazish hai aap ki
dil jalwa-gah-e-naz ho dil ki bisat kya
apna chuke hain hum to mazaq-e-gham-e-firaq
ab ehtiyat kya karen ab ehtiyat kya
shayad abhi ye ahl-e-KHirad ko pata nahin
diwangi-e-hosh mein hai irtibaat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.