awwal to mujhko sahib-e-irfan kiya gaya
avval to mujh ko sāhib-e-'irfāñ kiyā gayā
phir sair-e-kā.enāt meñ hairāñ kiyā gayā
uljhā diyā gayā mujhe afsūn-e-rang meñ
bīnā.ī salb kar ke charāġhāñ kiyā gayā
ābādiyāñ basā.ī ga.iiñ jangaloñ ke biich
ābād jangaloñ ko bhī vīrāñ kiyā gayā
sāmān dāġhdārī-e-dāman ke kar diye
aur ek ek daaġh numāyāñ kiyā gayā
pahle to kī ga.ī mirī takfīr aur phir
shartoñ pe apnī mujh ko musalmāñ kiyā gayā
awwal to mujh ko sahib-e-'irfan kiya gaya
phir sair-e-kaenat mein hairan kiya gaya
uljha diya gaya mujhe afsun-e-rang mein
binai salb kar ke charaghan kiya gaya
aabaadiyan basai gain jangalon ke bich
aabaad jangalon ko bhi viran kiya gaya
saman daghdari-e-daman ke kar diye
aur ek ek dagh numayan kiya gaya
pahle to ki gai meri takfir aur phir
sharton pe apni mujh ko musalman kiya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.