ayaadat hoti jati hai ibaadat hoti jati hai
ayādat hotī jaatī hai ibādat hotī jaatī hai
mere marne kī dekho sab ko aadat hotī jaatī hai
namī sī aañkh meñ aur hoñT bhī bhīge hue se haiñ
ye bhīgā-pan hī dekho muskurāhaT hotī jaatī hai
tere qadmoñ kī aahaT ko hai dil ye DhūñDhtā har dam
har ik āvāz pe ik thartharāhaT hotī jaatī hai
ye kaisī yaas hai rone kī bhī aur muskurāne kī
ye kaisā dard hai ki jhunjhunāhaT hotī jaatī hai
kabhī to ḳhūbsūrat apnī hī āñkhoñ meñ aise the
kisī ġham-ḳhāna se goyā mohabbat hotī jaatī hai
ḳhud hī ko tez nāḳhūnoñ se haa.e nochte haiñ ab
hameñ allāh ḳhud se kaisī ulfat hotī jaatī hai
ayaadat hoti jati hai ibaadat hoti jati hai
mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jati hai
nami si aankh mein aur honT bhi bhige hue se hain
ye bhiga-pan hi dekho muskurahaT hoti jati hai
tere qadmon ki aahaT ko hai dil ye DhunDhta har dam
har ek aawaz pe ek thartharahaT hoti jati hai
ye kaisi yas hai rone ki bhi aur muskurane ki
ye kaisa dard hai ki jhunjhunahaT hoti jati hai
kabhi to KHubsurat apni hi aankhon mein aise the
kisi gham-KHana se goya mohabbat hoti jati hai
KHud hi ko tez naKHunon se hae nochte hain ab
hamein allah KHud se kaisi ulfat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.