ayan hum apne KHayalat kar ke dekhte hain
ayan hum apne KHayalat kar ke dekhte hain
Mohammad Salahuddin Taskeen
MORE BYMohammad Salahuddin Taskeen
ayaañ ham apne ḳhayālāt kar ke dekhte haiñ
agar vo chup haiñ to ham baat kar ke dekhte haiñ
kabhī to un kī ḳhamoshī kā raaz ifshā ho
nazar se aaj savālāt kar ke dekhte haiñ
ka.ī dinoñ se vo milte nahīñ haiñ ham se magar
qadam baḌhā ke mulāqāt kar ke dekhte haiñ
nasīb apnā kabhī to chamak bhī saktā hai
kahīñ pe din to kahīñ raat kar ke dekhte haiñ
yahāñ jo dhuup hai nafrat kī har taraf ‘taskīn'
chalo ki pyaar kī barsāt kar ke dekhte haiñ
ayan hum apne KHayalat kar ke dekhte hain
agar wo chup hain to hum baat kar ke dekhte hain
kabhi to un ki KHamoshi ka raaz ifsha ho
nazar se aaj sawalat kar ke dekhte hain
kai dinon se wo milte nahin hain hum se magar
qadam baDha ke mulaqat kar ke dekhte hain
nasib apna kabhi to chamak bhi sakta hai
kahin pe din to kahin raat kar ke dekhte hain
yahan jo dhup hai nafrat ki har taraf ‘taskin'
chalo ki pyar ki barsat kar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.