ayan nahin hai koi chiz to nihan bhi nahin
ayaañ nahīñ hai koī chiiz to nihāñ bhī nahīñ
kahīñ dhuāñ hī dhuāñ hai kahīñ dhuāñ bhī nahīñ
dayār-e-dil se hamārā bhī qāfila guzrā
makīn badle hue aur vo makāñ bhī nahīñ
nadāmatoñ ne kushāda kiyā savād-e-sahar
to ab ḳhayāl-e-shab-e-māh-o-kahkashāñ bhī nahīñ
yahī bahut hai milā ḳhaak meñ na azm-e-safar
sarā.e duur kahīñ raah meñ kuaañ bhī nahīñ
ye kaise dast-e-sabā aaj ho gayā rangīn
lahū meñ Duubī huī shāḳh-e-āshiyāñ bhī nahīñ
sunāo hāl-e-dil-e-be-qarār vahshī ko
ki us ke paas madāvā-e-rā.egāñ bhī nahīñ
ayan nahin hai koi chiz to nihan bhi nahin
kahin dhuan hi dhuan hai kahin dhuan bhi nahin
dayar-e-dil se hamara bhi qafila guzra
makin badle hue aur wo makan bhi nahin
nadamaton ne kushada kiya sawad-e-sahar
to ab KHayal-e-shab-e-mah-o-kahkashan bhi nahin
yahi bahut hai mila KHak mein na azm-e-safar
sarae dur kahin rah mein kuan bhi nahin
ye kaise dast-e-saba aaj ho gaya rangin
lahu mein Dubi hui shaKH-e-ashiyan bhi nahin
sunao haal-e-dil-e-be-qarar wahshi ko
ki us ke pas madawa-e-raegan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.