azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe
azāb-e-dīd kā muzhda sunā rahā hai mujhe
kisī kī baat sunā kar jalā rahā hai mujhe
vo apne sach ko kabhī kar nahīñ sakā sābit
jo ek 'umr se jhūTā banā rahā hai mujhe
jo shaḳhs miim ke mafhūm tak nahīñ pahuñchā
ḳhudā kī shaan mohabbat sikhā rahā hai mujhe
use 'urūj kā mafhūm aa gayā hai samajh
so is liye bhī nazar se haTā rahā hai mujhe
hisār-e-ranj-o-alam TūTtā nahīñ kyūñ-kar
ye hādsāt kā ronā rulā rahā hai mujhe
maiñ be-yaqīnī ke sahrā ko paar to kar luuñ
magar jo ek samundar bulā rahā hai mujhe
azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe
kisi ki baat suna kar jala raha hai mujhe
wo apne sach ko kabhi kar nahin saka sabit
jo ek 'umr se jhuTa bana raha hai mujhe
jo shaKHs mim ke mafhum tak nahin pahuncha
KHuda ki shan mohabbat sikha raha hai mujhe
use 'uruj ka mafhum aa gaya hai samajh
so is liye bhi nazar se haTa raha hai mujhe
hisar-e-ranj-o-alam TuTta nahin kyun-kar
ye hadsat ka rona rula raha hai mujhe
main be-yaqini ke sahra ko par to kar lun
magar jo ek samundar bula raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.