azab jitne hain sare hamari KHatir hain
azaab jitne haiñ saare hamārī ḳhātir haiñ
tumhāre paas to māl-o-matā' vāfir haiñ
vo jin ke paañv meñ chal chal ke paḌ ga.e chhāle
vo rāh-e-ishq nahīñ bhuuk ke musāfir haiñ
ye shah ke saath musāhib bane jo phirte haiñ
ye kah rahe haiñ ki sab log terī ḳhātir haiñ
lahū nichoḌ ke ghar ham ko bhejne vaalo
hamāre jism kuchalne ko ab bhī hāzir haiñ
'nadīm' aao chaleñ ham bhī kūcha-e-qātil
ki rāh-e-shauq meñ ham se bahut musāfir haiñ
azab jitne hain sare hamari KHatir hain
tumhaare pas to mal-o-mata' wafir hain
wo jin ke panw mein chal chal ke paD gae chhaale
wo rah-e-ishq nahin bhuk ke musafir hain
ye shah ke sath musahib bane jo phirte hain
ye kah rahe hain ki sab log teri KHatir hain
lahu nichoD ke ghar hum ko bhejne walo
hamare jism kuchalne ko ab bhi hazir hain
'nadim' aao chalen hum bhi kucha-e-qatil
ki rah-e-shauq mein hum se bahut musafir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.