azab kaisa ye utra hai aasmanon se
azaab kaisā ye utrā hai āsmānoñ se
zamīñ pe ḳhuun kī bārish huī makānoñ se
yahī huā hai ki phir lauT kar nahīñ aa.e
tuyūr shab ko jo nikle the āshiyānoñ se
basīratoñ ne asar se ḳhabar ko pahchānā
ye kashtiyāñ bahut aage haiñ bādbānoñ se
vahī hai un se mirā bod-o-qurb kā rishta
zamīñ kā jaise ta'alluq hai āsmānoñ se
isī liye to ye sar ab kahīñ nahīñ jhuktā
jabīn-e-shauq hai māyūs āstānoñ se
koī nizām badalnā dalīl-e-fat.h nahīñ
ye saañp bhī to haTā.e koī ḳhazānoñ se
mirā ḳhulūs bhī mashkūk pyaar bhī jhūTā
jo aa.ine na tarāshūñ maiñ in chaTānoñ se
azab kaisa ye utra hai aasmanon se
zamin pe KHun ki barish hui makanon se
yahi hua hai ki phir lauT kar nahin aae
tuyur shab ko jo nikle the aashiyanon se
basiraton ne asar se KHabar ko pahchana
ye kashtiyan bahut aage hain baadbanon se
wahi hai un se mera bod-o-qurb ka rishta
zamin ka jaise ta'alluq hai aasmanon se
isi liye to ye sar ab kahin nahin jhukta
jabin-e-shauq hai mayus aastanon se
koi nizam badalna dalil-e-fath nahin
ye sanp bhi to haTae koi KHazanon se
mera KHulus bhi mashkuk pyar bhi jhuTa
jo aaine na tarashun main in chaTanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.