azab mein mubtala karega
azaab meñ mubtalā karegā
vo mujh ko tujh se judā karegā
maiñ jāntā thā kisī bahāne
vo qātiloñ ko rihā karegā
hazār pābandiyāñ hoñ lekin
vo mujh se aa kar milā karegā
ye us kā da.avā thā mulk meñ vo
sukūñ sabhoñ ko atā karegā
gharoñ se tum bhī nikal ke aao
akelā 'parvez' kyā karegā
azab mein mubtala karega
wo mujh ko tujh se juda karega
main jaanta tha kisi bahane
wo qatilon ko riha karega
hazar pabandiyan hon lekin
wo mujh se aa kar mila karega
ye us ka dawa tha mulk mein wo
sukun sabhon ko ata karega
gharon se tum bhi nikal ke aao
akela 'parwez' kya karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.