azab raaton KHizan-ruton ki kahani likkhun
azaab rātoñ ḳhizāñ-rutoñ kī kahānī likkhūñ
maiñ terī furqat kī sā.atoñ ko zabānī likkhūñ
bas ek pākīza rabt hai rūh-o-jāñ kā tujh se
to phir maiñ is saare vāqiye ko gumānī likkhūñ
mujhe mayassar haiñ saare rishte vahī nahīñ hai
bhalā maiñ kis dil se shauq kī rā.egānī likkhūñ
duā sunā hai falak pe jā ke aTak ga.ī hai
so tujh ko paane kī kyā yūñhī ḳhush-gumānī likkhūñ
jo bah rahe haiñ mirī ragoñ meñ haiñ ashk mere
bhalā maiñ kaise lahū kī apne ravānī likkhūñ
kabhī jo dariyā chaḌhā thā dil kā utar chukā hai
to kyā maiñ jazbāt ke talātum ko faanī likkhūñ
ye mere jīvan ke saare mausam batā rahe haiñ
maiñ apne āñgan ke har shajar kī javānī likkhūñ
yam-e-tarab aur na e'tibār-e-junūñ rahā hai
so ishq mere tujhe maiñ ḳhuld-āshiyānī likkhūñ
havās-e-ḳhamsa kā silsila bhī yahīñ talak hai
falak zamīñ ke jo darmiyāñ hai makānī likkhūñ
nahīñ gayā vo kahīñ bhī 'anjum' yahīñ kahīñ hai
maiñ shauq kī sab ishāratoñ ke ma.ānī likkhūñ
azab raaton KHizan-ruton ki kahani likkhun
main teri furqat ki saaton ko zabani likkhun
bas ek pakiza rabt hai ruh-o-jaan ka tujh se
to phir main is sare waqiye ko gumani likkhun
mujhe mayassar hain sare rishte wahi nahin hai
bhala main kis dil se shauq ki raegani likkhun
dua suna hai falak pe ja ke aTak gai hai
so tujh ko pane ki kya yunhi KHush-gumani likkhun
jo bah rahe hain meri ragon mein hain ashk mere
bhala main kaise lahu ki apne rawani likkhun
kabhi jo dariya chaDha tha dil ka utar chuka hai
to kya main jazbaat ke talatum ko fani likkhun
ye mere jiwan ke sare mausam bata rahe hain
main apne aangan ke har shajar ki jawani likkhun
yam-e-tarab aur na e'tibar-e-junun raha hai
so ishq mere tujhe main KHuld-ashiyani likkhun
hawas-e-KHamsa ka silsila bhi yahin talak hai
falak zamin ke jo darmiyan hai makani likkhun
nahin gaya wo kahin bhi 'anjum' yahin kahin hai
main shauq ki sab ishaaraton ke maani likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.