azan-e-fajr ke aahang mein mahw-e-suKHan hai
azān-e-fajr ke āhang meñ mahv-e-suḳhan hai
koī mujh se ḳhudā ke rang meñ mahv-e-suḳhan hai
savād-e-shahr meñ utrī huī hai shām-e-girya
havā to lahja-e-gul-rang meñ mahv-e-suḳhan hai
maiñ lab-basta khaḌā huuñ be-samā.at to nahīñ huuñ
samay mujh se zabān-e-sang meñ mahv-e-suḳhan hai
ġhazal se maiñ na.ī farhang meñ mahv-e-suḳhan huuñ
ġhazal mujh se na.ī farhang meñ mahv-e-suḳhan hai
mire andar payambar amn kā rahtā hai 'shaukat'
vahī duniyā ke shor-e-jang meñ mahv-e-suḳhan hai
azan-e-fajr ke aahang mein mahw-e-suKHan hai
koi mujh se KHuda ke rang mein mahw-e-suKHan hai
sawad-e-shahr mein utri hui hai sham-e-girya
hawa to lahja-e-gul-rang mein mahw-e-suKHan hai
main lab-basta khaDa hun be-samaat to nahin hun
samay mujh se zaban-e-sang mein mahw-e-suKHan hai
ghazal se main nai farhang mein mahw-e-suKHan hun
ghazal mujh se nai farhang mein mahw-e-suKHan hai
mere andar payambar amn ka rahta hai 'shaukat'
wahi duniya ke shor-e-jang mein mahw-e-suKHan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.