azal ki ibtida hone se pahle
azal kī ibtidā hone se pahle
kahāñ thā tū mirā hone se pahle
ye asrār-e-zamāñ khulte nahīñ the
hamārā mas.ala hone se pahle
mire dil meñ sukūnat kar rahī thī
mohabbat jā-ba-jā hone se pahle
adā kar hī liyā ham ne bil-āḳhir
vo ik sajda qazā hone se pahle
vo lamha jo guzārā hai tire saath
purānā thā nayā hone se pahle
azal ki ibtida hone se pahle
kahan tha tu mera hone se pahle
ye asrar-e-zaman khulte nahin the
hamara masala hone se pahle
mere dil mein sukunat kar rahi thi
mohabbat ja-ba-ja hone se pahle
ada kar hi liya hum ne bil-aKHir
wo ek sajda qaza hone se pahle
wo lamha jo guzara hai tere sath
purana tha naya hone se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.