azal se bas yahi aalam hai kya kiya jae
azal se bas yahī 'ālam hai kyā kiyā jaa.e
kabhī ḳhushī hai kabhī ġham hai kyā kiyā jaa.e
adab se jhuk ke ye kahtā hai āsmāñ goyā
zamīñ ke sāmne sar ḳham hai kyā kiyā jaa.e
hayāt-o-maut kī vaadī kā fāsla yaaro
har ek saañs pe kuchh kam hai kyā kiyā jaa.e
qarīb aa ke vo mā'sūmiyat se kahte haiñ
marīz-e-'ishq lab-e-dam hai kyā kiyā jaa.e
nashāt-o-aish ke lamhe tumheñ mubārak hoñ
mujhe 'azīz shab-e-ġham hai kyā kiyā jaa.e
maiñ apne Dhang se jiine kā kyoñ huā 'aadī
zamāna is liye barham hai kyā kiyā jaa.e
taḳhayyulāt kī in sard vādiyoñ meñ 'sahar'
ridā-e-fikr-o-nazar kam hai kyā kiyā jaa.e
azal se bas yahi 'alam hai kya kiya jae
kabhi KHushi hai kabhi gham hai kya kiya jae
adab se jhuk ke ye kahta hai aasman goya
zamin ke samne sar KHam hai kya kiya jae
hayat-o-maut ki wadi ka fasla yaro
har ek sans pe kuchh kam hai kya kiya jae
qarib aa ke wo ma'sumiyat se kahte hain
mariz-e-'ishq lab-e-dam hai kya kiya jae
nashat-o-aish ke lamhe tumhein mubarak hon
mujhe 'aziz shab-e-gham hai kya kiya jae
main apne Dhang se jine ka kyon hua 'adi
zamana is liye barham hai kya kiya jae
taKHayyulat ki in sard wadiyon mein 'sahar'
rida-e-fikr-o-nazar kam hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.