azal se justuju ki sargirani le ke aaya hun
azal se justujū kī sargirānī le ke aayā huuñ
talāsh-e-husn hai sham.a-e-javānī le ke aayā huuñ
tirī mahfil se hasrat kī nishānī le ke aayā huuñ
vafā kī aarzū thī sargirānī le ke aayā huuñ
jahāñ maiñ zauq-e-husn-e-jāvedānī le ke aayā huuñ
kahāñ kī kis ḳharābe meñ kahānī le ke aayā huuñ
mirī hastī zamāne ke miTā.e se nahīñ miTtī
azal se maiñ nishān-e-be-nishānī le ke aayā huuñ
mirī ḳhāmosh sūrat ā.ina-dār-e-mohabbat hai
maiñ ā.īne se husn-e-be-zabānī le ke aayā huuñ
bhaḌak uTThūñ na ḳhud apnī navā-e-sho.ala-sāmāñ se
ḳhas-o-ḳhāshāk meñ shola-bayānī le ke aayā huuñ
mohabbat ko to umr-e-jāvedāñ bhī muḳhtasar hogī
ilāhī kyā karūñ maiñ umr-e-fānī le ke aayā huuñ
'zafar' kyā taab laa.e koī tūfān-e-mohabbat kī
havā ke sāmne sham.a-e-e-javānī le ke aayā huuñ
azal se justuju ki sargirani le ke aaya hun
talash-e-husn hai shama-e-jawani le ke aaya hun
teri mahfil se hasrat ki nishani le ke aaya hun
wafa ki aarzu thi sargirani le ke aaya hun
jahan main zauq-e-husn-e-jawedani le ke aaya hun
kahan ki kis KHarabe mein kahani le ke aaya hun
meri hasti zamane ke miTae se nahin miTti
azal se main nishan-e-be-nishani le ke aaya hun
meri KHamosh surat aaina-dar-e-mohabbat hai
main aaine se husn-e-be-zabani le ke aaya hun
bhaDak uTThun na KHud apni nawa-e-shoala-saman se
KHas-o-KHashak mein shola-bayani le ke aaya hun
mohabbat ko to umr-e-jawedan bhi muKHtasar hogi
ilahi kya karun main umr-e-fani le ke aaya hun
'zafar' kya tab lae koi tufan-e-mohabbat ki
hawa ke samne shama-e-e-jawani le ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.