azal se le ke abad tak charagh-e-fani hun
azal se le ke abad tak charāġh-e-fānī huuñ
havā ke dosh pe likkhī huī kahānī huuñ
tū jāntā hai mirī be-gharī ke qisse ko
maiñ lā-makāñ se makāñ tak tirī kahānī huuñ
maiñ raushnī huuñ maiñ ḳhushbū huuñ mujh ko dekho to
kahīñ charāġh kahīñ raat kī maiñ raanī huuñ
maiñ bādaloñ meñ chhupī rahmat-e-ḳhudāvandī
kahīñ ghaTā to kahīñ bārishoñ kā paanī huuñ
vo jis ne mujh ko paḌhā hai varaq varaq 'afroz'
usī kī zaat meñ maiñ gum-shuda kahānī huuñ
azal se le ke abad tak charagh-e-fani hun
hawa ke dosh pe likkhi hui kahani hun
tu jaanta hai meri be-ghari ke qisse ko
main la-makan se makan tak teri kahani hun
main raushni hun main KHushbu hun mujh ko dekho to
kahin charagh kahin raat ki main rani hun
main baadalon mein chhupi rahmat-e-KHudawandi
kahin ghaTa to kahin barishon ka pani hun
wo jis ne mujh ko paDha hai waraq waraq 'afroz'
usi ki zat mein main gum-shuda kahani hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.