azal se naz-parwar hun KHiram-e-naz-parwar ka
azal se nāz-parvar huuñ ḳhirām-e-nāz-parvar kā
mirī hastī bharā kartī hai dam āshob-e-mahshar kā
kiyā hai aaj va.ada kis ne aane kā ḳhudā jaane
nazar aatā hai chashm-e-shauq darvāza mire ghar kā
liye phirtā hai saath apne ġhubār-e-ḳhāk kī sūrat
mire siine meñ har josh-e-nafas jhoñkā hai sarsar kā
sahar ke saath hogā chaak merā dāman-e-hastī
ba-rang-e-sham.a bazm-e-dahr meñ mehmāñ huuñ shab bhar kā
banā.ī ek hī donoñ kī sūrat kāhish-e-ġham ne
gumāñ hotā hai tār-e-pairahan par jism-e-lāġhar kā
diyā mayyat ko merī ġhusl āb-e-girya ne mere
huā ehsān bhī mujh par to apne dīda-e-tar kā
ḳhayāl-e-ahl-e-duniyā aa sake 'taufīq' kyā dil meñ
nahīñ ye aa.ina muhtāj tasvīr-e-sikandar kā
azal se naz-parwar hun KHiram-e-naz-parwar ka
meri hasti bhara karti hai dam aashob-e-mahshar ka
kiya hai aaj wada kis ne aane ka KHuda jaane
nazar aata hai chashm-e-shauq darwaza mere ghar ka
liye phirta hai sath apne ghubar-e-KHak ki surat
mere sine mein har josh-e-nafas jhonka hai sarsar ka
sahar ke sath hoga chaak mera daman-e-hasti
ba-rang-e-shama bazm-e-dahr mein mehman hun shab bhar ka
banai ek hi donon ki surat kahish-e-gham ne
guman hota hai tar-e-pairahan par jism-e-laghar ka
diya mayyat ko meri ghusl aab-e-girya ne mere
hua ehsan bhi mujh par to apne dida-e-tar ka
KHayal-e-ahl-e-duniya aa sake 'taufiq' kya dil mein
nahin ye aaina muhtaj taswir-e-sikandar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.