azal se to abad tak hai guzare ka sahaara dukh
azal se to abad tak hai guzāre kā sahārā dukh
ḳhudā ne saath aadam ke utārā hai ye saarā dukh
isī Dar se kisī ġham kā manāyā hī nahīñ mātam
zamāna ye na samjhe ki abhī tak hai tumhārā dukh
jahāñ par izzat-e-nafsī se baḌh kar kuchh nahīñ hotā
vahāñ samjhe koī kaise tumhārā dukh hamārā dukh
abhī āġhāz-e-ulfat hai abhī mumkin palaTnā hai
vagarna tum bhī cīḳhoge hamārā dukh hamārā dukh
mohabbat ke safīne to ġhamoñ se paar hote haiñ
vahī us paar utregā hai jis kā bas kināra dukh
azal se to abad tak hai guzare ka sahaara dukh
KHuda ne sath aadam ke utara hai ye sara dukh
isi Dar se kisi gham ka manaya hi nahin matam
zamana ye na samjhe ki abhi tak hai tumhaara dukh
jahan par izzat-e-nafsi se baDh kar kuchh nahin hota
wahan samjhe koi kaise tumhaara dukh hamara dukh
abhi aaghaz-e-ulfat hai abhi mumkin palaTna hai
wagarna tum bhi ciKHoge hamara dukh hamara dukh
mohabbat ke safine to ghamon se par hote hain
wahi us par utrega hai jis ka bas kinara dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.