aziz itna tera rang-o-bu lage hai mujhe
aziiz itnā tirā rañg-o-bū lage hai mujhe
koī qarīb se guzre to tū lage hai mujhe
safar ḳhayāl kā maiñ kis tarah tamām karūñ
tirī har ek adā chār-sū lage hai mujhe
zarūr koī ajab shai hai tujh meñ poshīda
ki terā zikr bhī ab kū-ba-kū lage hai mujhe
maiñ āsmān kī jānib bhī dekhtā huuñ magar
jo merā chāñd hai vo ḳhūb-rū lage hai mujhe
maiñ apnī zaat meñ tujh ko talāsh kartā huuñ
bahut hī sahl tirī justujū lage hai mujhe
hai ye bhī ek fusūn-e-nigāh ai 'rizvān'
nahīñ vo paas magar rū-ba-rū lage hai mujhe
aziz itna tera rang-o-bu lage hai mujhe
koi qarib se guzre to tu lage hai mujhe
safar KHayal ka main kis tarah tamam karun
teri har ek ada chaar-su lage hai mujhe
zarur koi ajab shai hai tujh mein poshida
ki tera zikr bhi ab ku-ba-ku lage hai mujhe
main aasman ki jaanib bhi dekhta hun magar
jo mera chand hai wo KHub-ru lage hai mujhe
main apni zat mein tujh ko talash karta hun
bahut hi sahl teri justuju lage hai mujhe
hai ye bhi ek fusun-e-nigah ai 'rizwan'
nahin wo pas magar ru-ba-ru lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.