azizon ki inayat bhi saza malum hoti hai
azīzoñ kī ināyat bhī sazā ma.alūm hotī hai
ye barsoñ kī rifāqat bhī sazā ma.alūm hotī hai
kisī ke lauT aane ke bahut se ḳhvāb dekhe the
magar ab to mohabbat bhī sazā ma.alūm hotī hai
mire andar sabhī mausam haiñ goyā dard ke mausam
jo ab thoḌī shikāyat bhī sazā ma.alūm hotī hai
amīr-e-shahr ne jab se ġharīb-e-shahr ko luuTā
hameñ apnī mashiyyat bhī sazā ma.alūm hotī hai
gunāhoñ ne mujhe jakḌā huā hai is tarah 'tanhā'
ki lahza-bhar ibādat bhī sazā ma.alūm hotī hai
azizon ki inayat bhi saza malum hoti hai
ye barson ki rifaqat bhi saza malum hoti hai
kisi ke lauT aane ke bahut se KHwab dekhe the
magar ab to mohabbat bhi saza malum hoti hai
mere andar sabhi mausam hain goya dard ke mausam
jo ab thoDi shikayat bhi saza malum hoti hai
amir-e-shahr ne jab se gharib-e-shahr ko luTa
hamein apni mashiyyat bhi saza malum hoti hai
gunahon ne mujhe jakDa hua hai is tarah 'tanha'
ki lahza-bhar ibaadat bhi saza malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.