aziyyat bhari kab meri zindagi hai
aziyyat bharī kab mirī zindagī hai
isī zindagī meñ hī tābindagī hai
ka.ī baar is baat ko parkhā maiñ ne
takabbur meñ poshīda sharmindagī hai
musībat meñ ġhairoñ ke aa.e haiñ jo kaam
ibādat vahī hai vahī bandagī hai
nahīñ hai kahīñ ek dīpak bhī raushan
kahīñ raushnī kī hī raḳhshandagī hai
zarā māñgne kā salīqa to jaano
ḳhazāne meñ us ke nahīñ kuchh kamī hai
ye ik raaz hai kyā kisī ko batā.ūñ
mirī zindagānī to farḳhandagī hai
har ik sher likhtā hai ḳhūn-e-jigar se
yahī tere 'sāhil' kī dīvāngī hai
aziyyat bhari kab meri zindagi hai
isi zindagi mein hi tabindagi hai
kai bar is baat ko parkha main ne
takabbur mein poshida sharmindagi hai
musibat mein ghairon ke aae hain jo kaam
ibaadat wahi hai wahi bandagi hai
nahin hai kahin ek dipak bhi raushan
kahin raushni ki hi raKHshandagi hai
zara mangne ka saliqa to jaano
KHazane mein us ke nahin kuchh kami hai
ye ek raaz hai kya kisi ko bataun
meri zindagani to farKHandagi hai
har ek sher likhta hai KHun-e-jigar se
yahi tere 'sahil' ki diwangi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.