aziyyat-nak hota hai kisi ke hijr mein rahna
aziyyat-nāk hotā hai kisī ke hijr meñ rahnā
ḳhushī jitnī bhī mil jaa.e maiñ ġham mahsūs kartā huuñ
kisī ke hijr meñ āñkhoñ ko ro.e umr guzrī hai
magar is aañkh ko ab tak maiñ nam mahsūs kartā huuñ
mirī har ik ḳhushī tum se mirī rag rag meñ bahte ho
faqat terā hī maiñ hamdam alam mahsūs kartā huuñ
aqīdat aur ulfat se maiñ jab masjid ko jaatā huuñ
maiñ is kachchī sī masjid ko haram mahsūs kartā huuñ
alag ye baat hai ab tak madīne jā sakā na maiñ
magar un kā maiñ ḳhud par sab karam mahsūs kartā huuñ
hamāre darmiyāñ jab se ravayyoñ kī chhiḌī hai jañg
agar vo aap bhī kah le maiñ tum mahsūs kartā huuñ
har ik nekī kā badla laakh nekī hai 'sahar' is maah
ibādat jitnī kar luuñ phir bhī kam mahsūs kartā huuñ
aziyyat-nak hota hai kisi ke hijr mein rahna
KHushi jitni bhi mil jae main gham mahsus karta hun
kisi ke hijr mein aankhon ko roe umr guzri hai
magar is aankh ko ab tak main nam mahsus karta hun
meri har ek KHushi tum se meri rag rag mein bahte ho
faqat tera hi main hamdam alam mahsus karta hun
aqidat aur ulfat se main jab masjid ko jata hun
main is kachchi si masjid ko haram mahsus karta hun
alag ye baat hai ab tak madine ja saka na main
magar un ka main KHud par sab karam mahsus karta hun
hamare darmiyan jab se rawayyon ki chhiDi hai jang
agar wo aap bhi kah le main tum mahsus karta hun
har ek neki ka badla lakh neki hai 'sahar' is mah
ibaadat jitni kar lun phir bhi kam mahsus karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.