aziyyat uski zehni dur kar de
aziyyat us kī zehnī duur kar de
use bhī ai ḳhudā mash.hūr kar de
isī meñ fat.h kā terī hai imkāñ
mujhe ghar meñ mire mahsūr kar de
ye chehre ye fareb-ālūd chehre
inheñ koī nazar se duur kar de
adab kis kā vahāñ ādāb kaise
banāvaT dil meñ jab nāsūr kar de
vahī tāzīm ke laa.eq hai 'az.har'
jo ḳhud tāzīm par majbūr kar de
aziyyat us ki zehni dur kar de
use bhi ai KHuda mashhur kar de
isi mein fath ka teri hai imkan
mujhe ghar mein mere mahsur kar de
ye chehre ye fareb-alud chehre
inhen koi nazar se dur kar de
adab kis ka wahan aadab kaise
banawaT dil mein jab nasur kar de
wahi tazim ke laeq hai 'azhar'
jo KHud tazim par majbur kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.