aziyyaten yun baDha raha hun
aziyyateñ yuuñ baḌhā rahā huuñ
maiñ dil kī gardan dabā rahā huuñ
vo haath meñ dil thamā ke bole
sambhālo is ko maiñ jā rahā huuñ
ḳhudā alīm-o-basīr hai jab
to hāl-e-dil kyoñ sunā rahā huuñ
nayā nahīñ hai ye ishq merā
azal se hī mubtalā rahā huuñ
mujhe farishta na bol pyāre
jā pūchh un se maiñ kyā rahā huuñ
hijāb kā hai azaab varna
ḳhudā se kab maiñ judā rahā huuñ
aziyyaten yun baDha raha hun
main dil ki gardan daba raha hun
wo hath mein dil thama ke bole
sambhaalo is ko main ja raha hun
KHuda alim-o-basir hai jab
to haal-e-dil kyon suna raha hun
naya nahin hai ye ishq mera
azal se hi mubtala raha hun
mujhe farishta na bol pyare
ja puchh un se main kya raha hun
hijab ka hai azab warna
KHuda se kab main juda raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.