aziyyaton ka naya silsila to hona tha
aziyyatoñ kā nayā silsila to honā thā
kuchh is liye bhī tujhe ab judā to honā thā
ki pahlī baar safar aur vo bhī tanhā safar
ki paash paash mirā hausla to honā thā
jab ek umr huī tīrgī nigalte hue
mirā charāġh se ab sāmnā to honā thā
idhar udhar ke sahāroñ ne be-sahārā kiyā
koī na hotā jo merā ḳhudā to honā thā
tū mere saath agar aise haath na kartā
maiñ ḳhud kā ho na sakā par tirā to honā thā
ajiib shaḳhs hai ujlat meñ kaaT baiThā hai
vagarna peḌ thā āḳhir harā to honā thā
hamāre beach mohabbat shadīd thī 'irshād'
hamāre beach bahut fāsla to honā thā
aziyyaton ka naya silsila to hona tha
kuchh is liye bhi tujhe ab juda to hona tha
ki pahli bar safar aur wo bhi tanha safar
ki pash pash mera hausla to hona tha
jab ek umr hui tirgi nigalte hue
mera charagh se ab samna to hona tha
idhar udhar ke sahaaron ne be-sahaara kiya
koi na hota jo mera KHuda to hona tha
tu mere sath agar aise hath na karta
main KHud ka ho na saka par tera to hona tha
ajib shaKHs hai ujlat mein kaT baiTha hai
wagarna peD tha aaKHir hara to hona tha
hamare beach mohabbat shadid thi 'irshad'
hamare beach bahut fasla to hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.