azm-e-buland jo dil-e-bebak mein raha
azm-e-buland jo dil-e-bebāk meñ rahā
aks-e-jalīl us kā mirī ḳhaak meñ rahā
mere laboñ pe DhūñDte guzrī tumhārī umr
iz.hār-e-ġham to dīda-e-namnāk meñ rahā
chhoTā sā ek zarra hī vaj.h-e-hayāt hai
zauq-e-numū kahāñ ḳhas-o-ḳhāshāk meñ rahā
phāḌā hai us ke ġham ne garebāñ ko is tarah
bas ek taar dāman-e-sad-chāk meñ rahā
'āzar' hai ik tasalsul-e-inkār-o-āgahī
roz-e-azal se jo mire idrāk meñ rahā
azm-e-buland jo dil-e-bebak mein raha
aks-e-jalil us ka meri KHak mein raha
mere labon pe DhunDte guzri tumhaari umr
izhaar-e-gham to dida-e-namnak mein raha
chhoTa sa ek zarra hi wajh-e-hayat hai
zauq-e-numu kahan KHas-o-KHashak mein raha
phaDa hai us ke gham ne gareban ko is tarah
bas ek tar daman-e-sad-chaak mein raha
'azar' hai ek tasalsul-e-inkar-o-agahi
roz-e-azal se jo mere idrak mein raha
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 60)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.