azm-e-safar jab KHam nahin hai
azm-e-safar jab ḳhaam nahīñ hai
phir manzil do-gām nahīñ hai
ishq-e-habīb-e-haq hai jin ko
un ko ġham-e-ayyām nahīñ hai
us ko sazā dete haiñ munsif
jis pe koī ilzām nahīñ hai
aḳhtar 'sherī' ke dar jaisā
shahr meñ faiz-e-ām nahīñ hai
ā.īna mat dekho 'rif.at'
ab chehra gulfām nahīñ hai
azm-e-safar jab KHam nahin hai
phir manzil do-gam nahin hai
ishq-e-habib-e-haq hai jin ko
un ko gham-e-ayyam nahin hai
us ko saza dete hain munsif
jis pe koi ilzam nahin hai
aKHtar 'sheri' ke dar jaisa
shahr mein faiz-e-am nahin hai
aaina mat dekho 'rifat'
ab chehra gulfam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.