azmaton ka dayar ban ke raho
azmatoñ kā dayār ban ke raho
shahr meñ shahr-e-yār ban ke raho
ḳhaak ban kar bulandiyāñ chhū lo
rāste kā ġhubār ban ke raho
maiñ tumhāre liye pareshāñ huuñ
tum mire ġham-gusār ban ke raho
haar jaao to haar mat samjho
jiit jaao to haar ban ke raho
zindagānī hai jañg kā maidān
bas yahāñ ār-pār ban ke raho
be-qarāroñ ko kuchh qarār aa.e
kuchh dinoñ be-qarār ban ke raho
zindagī ḳhud sharāb hai 'andāz'
apnā ḳhud hī ḳhumār ban ke raho
azmaton ka dayar ban ke raho
shahr mein shahr-e-yar ban ke raho
KHak ban kar bulandiyan chhu lo
raste ka ghubar ban ke raho
main tumhaare liye pareshan hun
tum mere gham-gusar ban ke raho
haar jao to haar mat samjho
jit jao to haar ban ke raho
zindagani hai jang ka maidan
bas yahan aar-par ban ke raho
be-qararon ko kuchh qarar aae
kuchh dinon be-qarar ban ke raho
zindagi KHud sharab hai 'andaz'
apna KHud hi KHumar ban ke raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.