ba-faiz-e-agahi hai muddaa sanjida sanjida
ba-faiz-e-āgahī hai mudda'ā sanjīda sanjīda
ḳhudī ne vā kiye haiñ raaz kyā pechīda pechīda
nazar hairāñ tabī'at hai zarā ranjīda ranjīda
huā dil hai kisī kā mubtalā poshīda poshīda
fazāoñ se fasāna sun ke us ke dard-e-hijrāñ kā
guloñ ne chun liye ashk-e-sabā larzīda larzīda
isī mast-e-javānī ke qadam baḌh kar liye hoñge
chaman meñ chal rahī hai jo sabā laġhzīda laġhzīda
Thahar jaa.e na ghabrā kar kahīñ ye qāfila dil kā
mirī jānib nazar phir se uThā duzdīda duzdīda
'jamīl'-e-zār kā hai ye nishāñ ai gulsitāñ vaalo
javāñ himmat pareshāñ-hāl sā kāhīda kāhīda
ba-faiz-e-agahi hai mudda'a sanjida sanjida
KHudi ne wa kiye hain raaz kya pechida pechida
nazar hairan tabi'at hai zara ranjida ranjida
hua dil hai kisi ka mubtala poshida poshida
fazaon se fasana sun ke us ke dard-e-hijran ka
gulon ne chun liye ashk-e-saba larzida larzida
isi mast-e-jawani ke qadam baDh kar liye honge
chaman mein chal rahi hai jo saba laghzida laghzida
Thahar jae na ghabra kar kahin ye qafila dil ka
meri jaanib nazar phir se uTha duzdida duzdida
'jamil'-e-zar ka hai ye nishan ai gulsitan walo
jawan himmat pareshan-haal sa kahida kahida
- Book : Shora-e-London (Pg. 62)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.