ba-faiz-e-gardish-e-ayyam hum ko
ba-faiz-e-gardish-e-ayyām ham ko
kisī sūrat nahīñ ārām ham ko
sukūñ dushman junūñ-parvar irādao
na kar denā kahīñ badnām ham ko
fasurda ḳhalvatoñ meñ yaad aa kar
rulāte haiñ vo sub.h-o-shām ham ko
uThā ai mutribā sāz-e-mohabbat
pilā ai sāqī-e-gulfām ham ko
na ham ko zindagī kī hai zarūrat
na duniyā se hai koī kaam ham ko
kisī kī bevafā.ī ke fasāne
sunātā hai dil-e-nākām ham ko
kisī ne apnī mast āñkhoñ se 'nayyar'
diyā hai pyaar kā paiġhām ham ko
ba-faiz-e-gardish-e-ayyam hum ko
kisi surat nahin aaram hum ko
sukun dushman junun-parwar iradao
na kar dena kahin badnam hum ko
fasurda KHalwaton mein yaad aa kar
rulate hain wo subh-o-sham hum ko
uTha ai mutriba saz-e-mohabbat
pila ai saqi-e-gulfam hum ko
na hum ko zindagi ki hai zarurat
na duniya se hai koi kaam hum ko
kisi ki bewafai ke fasane
sunata hai dil-e-nakaam hum ko
kisi ne apni mast aankhon se 'nayyar'
diya hai pyar ka paigham hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.