ba-faiz-e-ishq har ja sainkaDon diwane milte hain
ba-faiz-e-ishq har ja sainkaDon diwane milte hain
Khurshid Khawar Amrohvi
MORE BYKhurshid Khawar Amrohvi
ba-faiz-e-ishq har jā saiñkaḌoñ dīvāne milte haiñ
jahāñ bhī sham.a raushan ho vahīñ parvāne milte haiñ
nahīñ mauqūf kuchh sahrā-navardī par hī ai hamdam
jahāñ hote haiñ farzāne vahīñ dīvāne milte haiñ
ye dil kī bastiyāñ ābād haiñ jo husn-e-fitrat se
inhī ābādiyoñ ke qalb meñ vīrāne milte haiñ
batā de kaash ye koī haram ke jaane vāloñ ko
haram kī raah meñ bhī anginat but-ḳhāne milte haiñ
hudūd-e-ishq meñ hī āfiyat hai ye samajh liije
hudūd-e-ishq ke us paar to vīrāne milte haiñ
nahīñ laatā huuñ andeshoñ ko ḳhātir meñ kabhī hargiz
vahīñ jaatā huuñ uḌ kar maiñ jahāñ kuchh daane milte haiñ
jahāñ ziddain yakjā hoñ vahī duniyā hai ai 'ḳhāvar'
jahāñ hoñ jāne-pahchāne vahīñ begāne milte haiñ
ba-faiz-e-ishq har ja sainkaDon diwane milte hain
jahan bhi shama raushan ho wahin parwane milte hain
nahin mauquf kuchh sahra-nawardi par hi ai hamdam
jahan hote hain farzane wahin diwane milte hain
ye dil ki bastiyan aabaad hain jo husn-e-fitrat se
inhi aabaadiyon ke qalb mein virane milte hain
bata de kash ye koi haram ke jaane walon ko
haram ki rah mein bhi anginat but-KHane milte hain
hudud-e-ishq mein hi aafiyat hai ye samajh lije
hudud-e-ishq ke us par to virane milte hain
nahin lata hun andeshon ko KHatir mein kabhi hargiz
wahin jata hun uD kar main jahan kuchh dane milte hain
jahan ziddain yakja hon wahi duniya hai ai 'KHawar'
jahan hon jaane-pahchane wahin begane milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.