ba-har-alam barabar likh raha hun
ba-har-ālam barābar likh rahā huuñ
maiñ pyāsā huuñ samundar likh rahā huuñ
sadaf andar sadaf the jo ma'ānī
unheñ gauhar-ba-gauhar likh rahā huuñ
nahīñ ye shā'irī hargiz nahīñ hai
maiñ ḳhud apnā muqaddar likh rahā huuñ
har ik tifl-e-qalam ye sochtā hai
maiñ kal duniyā se behtar likh rahā huuñ
nazar aatī nahīñ jo dil kī duniyā
use manzar-ba-manzar likh rahā huuñ
mai-e-lab se mujh ḳhush karne vaalo
tumhāre naam kausar likh rahā huuñ
jo mastī hai mirā maqsūm 'sahbā'
use sāġhar-ba-sāġhar likh rahā huuñ
ba-har-alam barabar likh raha hun
main pyasa hun samundar likh raha hun
sadaf andar sadaf the jo ma'ani
unhen gauhar-ba-gauhar likh raha hun
nahin ye sha'iri hargiz nahin hai
main KHud apna muqaddar likh raha hun
har ek tifl-e-qalam ye sochta hai
main kal duniya se behtar likh raha hun
nazar aati nahin jo dil ki duniya
use manzar-ba-manzar likh raha hun
mai-e-lab se mujh KHush karne walo
tumhaare nam kausar likh raha hun
jo masti hai mera maqsum 'sahba'
use saghar-ba-saghar likh raha hun
- Book : Sarkashidah (Pg. 185)
- Author : Sahba Akhtar
- Publication : Maktaba-e-Nadeem ke airia ko rangi Karachi (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.