ba-in gudaz ajab rang ka bayan hota
ba-īñ gudāz ajab rañg kā bayāñ hotā
koī raqīb jo apne bhī darmiyāñ hotā
jhukā huā hai jo sar aaj tere qadmoñ par
agar na vaqt bigaḌtā to āstāñ hotā
har ek rah pe ga.e aur ye bhūlte hī ga.e
vo ek naqsh-e-qadam thā kahāñ kahāñ hotā
tire nisār dil-e-ġhair-mutma.in pe na jā
use jo ishq bhī miltā to imtihāñ hotā
liyā na va.ada-e-dīdār jaan kar varna
phir intizār kā yaarā hameñ kahāñ hotā
koī to rañg-e-suḳhan de ki log kahte haiñ
lagī thī aag to kuchh aag kā nishāñ hotā
tirī nazar ke talātum meñ rah gayā varna
mirā bhī naam tajammul-husain-ḳhāñ hotā
akele tum hī to is shahr meñ nahīñ 'ālī'
burā hī thā jo vo tum sā hī nukta-dāñ hotā
ba-in gudaz ajab rang ka bayan hota
koi raqib jo apne bhi darmiyan hota
jhuka hua hai jo sar aaj tere qadmon par
agar na waqt bigaDta to aastan hota
har ek rah pe gae aur ye bhulte hi gae
wo ek naqsh-e-qadam tha kahan kahan hota
tere nisar dil-e-ghair-mutmain pe na ja
use jo ishq bhi milta to imtihan hota
liya na wada-e-didar jaan kar warna
phir intizar ka yara hamein kahan hota
koi to rang-e-suKHan de ki log kahte hain
lagi thi aag to kuchh aag ka nishan hota
teri nazar ke talatum mein rah gaya warna
mera bhi nam tajammul-husain-KHan hota
akele tum hi to is shahr mein nahin 'ali'
bura hi tha jo wo tum sa hi nukta-dan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.