ba jazb-e-dil ba-naz-e-agahana
ba jazb-e-dil ba-nāz-e-āgahāna
jabīñ hai be-niyāz-e-āstāna
salāmat apnā soz-e-bāġhiyāna
banegā bijliyoñ meñ āshiyāna
jhukeñge chāñd sūraj mere aage
uThegī jab nigāh-e-ġhāziyāna
chaman hī ke badal deñ kyoñ na dastūr
qafas ko kyā banā.eñ āshiyāna
haiñ sab parchhā.iyāñ azm-o-amal kī
bigaḌtā hai na bantā hai zamāna
ḳhudī-o-be-ḳhudī donoñ haiñ dhoke
na ho jab tak nigāh-e-ārifāna
haqīqat ko ziyāda chhānne se
haqīqat bhī na ban jaa.e fasāna
zamīñ ko ham milā deñge falak se
jab uTTheñge ba-zo'm-e-shā.irāna
parakh letā huuñ har achchhe bure ko
'shifā' nazreñ haiñ merī nāqidāna
ba jazb-e-dil ba-naz-e-agahana
jabin hai be-niyaz-e-astana
salamat apna soz-e-baghiyana
banega bijliyon mein aashiyana
jhukenge chand suraj mere aage
uThegi jab nigah-e-ghaziyana
chaman hi ke badal den kyon na dastur
qafas ko kya banaen aashiyana
hain sab parchhaiyan azm-o-amal ki
bigaDta hai na banta hai zamana
KHudi-o-be-KHudi donon hain dhoke
na ho jab tak nigah-e-arifana
haqiqat ko ziyaada chhanne se
haqiqat bhi na ban jae fasana
zamin ko hum mila denge falak se
jab uTThenge ba-zo'm-e-shairana
parakh leta hun har achchhe bure ko
'shifa' nazren hain meri naqidana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.