ba-juz andoh-o-gham kya aur hijr-e-yar mein dekha
ba-juz andoh-o-gham kya aur hijr-e-yar mein dekha
Hamid Husain Hamid
MORE BYHamid Husain Hamid
ba-juz andoh-o-ġham kyā aur hijr-e-yār meñ dekhā
yahī paayā yahī har kūcha-o-bāzār meñ dekhā
jamāl-e-haq to husn-e-qāmat-e-dildār meñ dekhā
jalāl-e-ḳhāliq-e-akbar nigāh-e-yār meñ dekhā
idhar dil se chale aur us taraf bahne lage aañsū
ye tūfāñ dard-o-ġham kā chashm-e-dariyā-bār meñ dekhā
namak chhiḌkā ba-jā.e marham-e-kāfūr qātil ne
jarāhat kā mazā kyā zaḳhm-e-dāman-dār meñ dekhā
kisī pahlū kisī karvaT na chain aaya na niiñd aa.ī
ye andāz-e-sitam tīr-e-jigar-afgār meñ dekhā
kaleja kyoñ na phaT jaa.e hamārā is musībat par
ki apne laḳht-e-dil kā dīda-e-ḳhūñbār meñ dekhā
abas tum DhūñDte ho dīda-e-bīmār meñ aañsū
lahū kuchh bhī mire jism-e-nahīf-o-zār meñ dekhā
rahe aañsū na jab baaqī to TukḌe dil ke bah nikle
ġhazab kā ye tamavvuj dīda-e-ḳhūñbār meñ dekhā
nuqūsh-o-ma’anī-e-qur.āñ tarīq-e-kāfir-o-momin
ye sab kuchh aap ke ḳhāl-o-ḳhat-e-ruḳhsār meñ dekhā
gire ham misl-e-mūsā vādī-e-ulfat meñ ġhash khākar
jamāl-e-haq jo husn-e-qāmat-e-dildār meñ dekhā
ajab kyā hai bahār aa.ī ho phir sehn-e-gulistāñ meñ
ki ham ne phuul ai bulbul tirī minqār meñ dekhā
sañbhalnā ho gayā dushvār mujh ko aur ai 'hāmid'
jo dil ko nok-e-teġh-e-abrū-e-ḳhummār meñ dekhā
ba-juz andoh-o-gham kya aur hijr-e-yar mein dekha
yahi paya yahi har kucha-o-bazar mein dekha
jamal-e-haq to husn-e-qamat-e-dildar mein dekha
jalal-e-KHaliq-e-akbar nigah-e-yar mein dekha
idhar dil se chale aur us taraf bahne lage aansu
ye tufan dard-o-gham ka chashm-e-dariya-bar mein dekha
namak chhiDka ba-jae marham-e-kafur qatil ne
jarahat ka maza kya zaKHm-e-daman-dar mein dekha
kisi pahlu kisi karwaT na chain aaya na nind aai
ye andaz-e-sitam tir-e-jigar-afgar mein dekha
kaleja kyon na phaT jae hamara is musibat par
ki apne laKHt-e-dil ka dida-e-KHunbar mein dekha
abas tum DhunDte ho dida-e-bimar mein aansu
lahu kuchh bhi mere jism-e-nahif-o-zar mein dekha
rahe aansu na jab baqi to TukDe dil ke bah nikle
ghazab ka ye tamawwuj dida-e-KHunbar mein dekha
nuqush-o-ma’ani-e-quran tariq-e-kafir-o-momin
ye sab kuchh aap ke KHal-o-KHat-e-ruKHsar mein dekha
gire hum misl-e-musa wadi-e-ulfat mein ghash khakar
jamal-e-haq jo husn-e-qamat-e-dildar mein dekha
ajab kya hai bahaar aai ho phir sehn-e-gulistan mein
ki hum ne phul ai bulbul teri minqar mein dekha
sanbhalna ho gaya dushwar mujh ko aur ai 'hamid'
jo dil ko nok-e-tegh-e-abru-e-KHummar mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.