ba-juz ishq ke aur aazar hota
ba-juz ishq ke aur āzār hotā
maiñ apnī nigāhoñ meñ ḳhud ḳhvār hotā
mirī raa.e se gar banātā mujhe maiñ
na majbūr hotā na muḳhtār hotā
ba-andāz-e-dīgar hameñ va.az kartā
agar aap vaa.iz ḳhatāvār hotā
use kuchh to mazlūm kā dard hotā
sitamgār said-e-sitamgār hotā
ġhalat-fahmiyāñ mai ke baare meñ miTtīñ
agar shaiḳh-e-shahr aap mai-ḳhvār hotā
na daulat thī mushkil na shohrat thī mushkil
vale jiinā ġhairat se dushvār hotā
gunāh kartā 'dīvāna' maiñ chhup ke Dar ke
ḳhud apnī nazar meñ gunahgār hotā
sañvārā ḳhudī ko use bech khāyā
ḳhudā-dār hotā to ḳhud.dār hotā
ba-juz ishq ke aur aazar hota
main apni nigahon mein KHud KHwar hota
meri rae se gar banata mujhe main
na majbur hota na muKHtar hota
ba-andaz-e-digar hamein waz karta
agar aap waiz KHatawar hota
use kuchh to mazlum ka dard hota
sitamgar said-e-sitamgar hota
ghalat-fahmiyan mai ke bare mein miTtin
agar shaiKH-e-shahr aap mai-KHwar hota
na daulat thi mushkil na shohrat thi mushkil
wale jina ghairat se dushwar hota
gunah karta 'diwana' main chhup ke Dar ke
KHud apni nazar mein gunahgar hota
sanwara KHudi ko use bech khaya
KHuda-dar hota to KHuddar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.