ba-KHuda ishq ka aazar bura hota hai
ba-ḳhudā ishq kā āzār burā hotā hai
rog chāhat kā burā pyaar burā hotā hai
jaañ pe aa bantī hai jab koī hasīñ bantā hai
haa.e ma.ashūq-e-tarahdār burā hotā hai
ye vo kāñTā hai nikaltā nahīñ chubh kar dil se
ḳhalish-e-ishq kā āzār burā hotā hai
TuuT paḌtā hai falak sar pe shab-e-furqat meñ
shikva-e-charḳh-e-sitamgār burā hotā hai
aa hī jaatī hai hasīnoñ pe tabī.at nāseh
sach to ye hai ki dil-e-zār burā hotā hai
ba-KHuda ishq ka aazar bura hota hai
rog chahat ka bura pyar bura hota hai
jaan pe aa banti hai jab koi hasin banta hai
hae mashuq-e-tarahdar bura hota hai
ye wo kanTa hai nikalta nahin chubh kar dil se
KHalish-e-ishq ka aazar bura hota hai
TuT paDta hai falak sar pe shab-e-furqat mein
shikwa-e-charKH-e-sitamgar bura hota hai
aa hi jati hai hasinon pe tabiat naseh
sach to ye hai ki dil-e-zar bura hota hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 86)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.